‘Ghazal SMS Messages ’ Collection

Titlee jo ek mujh ko mili thi kitaab main

Titlee jo ek mujh ko mili thi kitaab main
Woh apna aks chore gayi mere khuwaab main

Ab tak woh mere zehen main uljha sawaal hai
Shaamil rahi jo har ghari meri nisaab main

Aankhon main neend hai na koi khuwaab door tak
Rehte hain hum bhi aaj kal waise azaab main

Milta hai gardishon se gale lag ke chaand bhi
Aaye the simat ke faasle kitne saraab main

Aakhir meri wafa ka mujhe kya sila mila
Likha na aik harf bhi us ne jawaab main!!

Mujeh Ye Zid nahi mere Galay ka Haar ho jao

Mujeh Ye Zid nahi mere Gally ka Haar ho jao
Akhela Chor dena , tum jahaan Be-zaar ho jao

Bhot Jaldi Samajh mein aany lagty ho Zamane ki
Bhot Aasaan ho, thory Bht dushwaar ho jao

Mulaqakto mein wafa ls liye hona zaroori hai
Ke tum ik Din Judaaee ke liye Tayaar ho jao

Main Kesi Chal chalati Dhoop ke Sehra Se aya hoon
Bas ab Esa karo , Tum Saya-e-Dewaar ho jao

Tumhary paas deny ky liye jhoti Tasali ho
Na Aay Esa Din , Tum isqadar Nadaar ho jao

Tumhy Maloom ho jaye ga Kese Ranj Sehty hai
Meri itni Duaa hai Kaash tum Funkaar ho jao!!!

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi bat nahi

Rakha tha aashiyana-e-dil main chhupa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi

Kis kii majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi….!!!

To jhuka jhuka k nazar kion milayee jati hay

o jhuka jhuka k nazar kion milayee jati hay,
Banaa banaa k tamanna mitayee jaati hay,

Tarah tarah say wafa aazmayee jaati hay,
Hijaab un ko meri mohabbat ka aitbar nahin,

To jhuka jhuka k nazar kion milayee jaati hay,
Hamaray dil ka pata wo hamain nahin daitay
Hamari chiz hum hi say chupai jaati hay,

Saqi, Doori-e-manzil say naa-umid na hoo
Manzil ab bus aa hi jaati hay!!!

Bhur lain banhoon main aur maar hi dalain tum ko..

Bandh lain hathoon pay seenay pay saja lain tum ko,
Sochtay hain k aik taveez bana lain tum ko,

Phir tumhain roz sanwarain tumhain barhta daikhain,
Kion na aangun main chunbaili sa laga lain tm ko,

Kis qadar toot ker tum per hamain pyaar aata hay,
Bhur lain banhoon main aur maar hi dalain tum ko..!!

Baton say bhee yeh gham kyon kam naheen hotey

Baton say bhee yeh gham kyon kam naheen hotey
Aansuon sey dil k koney nam naheen hote

Thee bahut umeed to apnon sey is dil ko kabhee
Par hameshaa saath ye hamdam naheen hote

Bebasee hansne lagee khaamoshi ab hai goonjtee
Band kamron men koyee mausam nahen hote

Jab khushee hai naachtee gaatee hai man kee har kalee
Un gharon men kyaa kabhee maatam naheen hote

Pyaar sab miltaa jinhen ranjish naheen koyee kabhee
Kyaa kabhee aise dilon men gham naheen hote

Yaad to karte hain unko ham sadaa hee raat din
Khwaab men unke kabhee kyaa ham naheen hote!!!

Youn to shikayat khud say roz kia kertay hain

Youn to shikayat khud say roz kia kertay hain,
Shaam hotay hi khud ko rok lia kertay hain

Jaisay mujrim hay bina jurm karay koi,
Aisa woh hum say sulook rawan rakhtay hain,

Ho na jayai kahin un ka dedar hamain,
Is liyay chehray ko chupa rakhtay hein,

Na koi dost na sathi jub apnay paas ho,
Aisay main aankh say aansu rawan rakhtay hain,

Yeh dil tou hay nadaan laikin,
Hum bhi mohabbat per pukhta yaqeen rakhtay hain…!!!

Kuchh adhuri khuwahishon ka silsila hai zindagi

Kuchh adhuri khwahishon ka silsila hai zindagi,
Manzilon se ek musalsal fasala hai zindagi !

Mere darwaze pe dastak de ke chhup Jane ka khel,
Kab talak khelegi eh kya bachpana hai zindagi !

Tere afsane to mai sunta raha Hun baraha,
Naam kya tune kabhi mera suna hai zindagi !

Zinda Hun doston ki duaaon ke bawajud,
Roshan hai kitani tej hawaon is zindagi !

Apani tamam shokh adaaon ke bawajud,
Bahla saki na jee mera ek pal bhi zindagi !

Bojhil hai rat chand sitaron ke bawajud,
Suraj ke bawajud andhera hai zindagi !

Barbaad hamko hona tha barbad ham huye,
Duniya hai sari nek salahon is zindagi !

Kaatil the jitane mere sabhi ho gaye bari,
Aur chup khadi thi chasmdeed gawahon si zindagi !!!!

Mushkilon ko karta Jo aasan hai

Mushkilon ko karta Jo aasan hai,
WO asal me hi to ek insan hai !

Gham se ghabara ke Jo himmat chhod de,
Buzdili ki uski to pahchan hai !

Zindagi hai ek dariya dard ka,
Dard se khele wahi insan hai !

Khushali me sab yaha jee lete hai,
Ghum me jena to alag ek shan hai !

Ham bana saktey hain khud takdeer ko,
Gham ham hi me josh ka elan hai !

Kahte hain eh waqt hai ek dhup chhaon,
Feer bhala kyon aadami hairan hai !

Khud ko Jo samjhe ki ham kamzor hain,
WO bahut nadan hai anjan hai !!

Warna wo meri udasi ka sabab janta hai

Jo bhi is dil pe guzarti hai wo sab janta hai,
Koi jaane ke na jane mera rab janta hai !

Jaaney kab usko faqiron pe taras aajye,
Kuchh milega e mera daste talab janta hai !

Hazaar bar usse tod ke aajaun mai rita,
Magar wo hamko bulane ka hunar janta hai !

Mai usko bhul ke zinda rahunga kaise “Saqi”,
WO meri sanso ki talab ki wajah janta hai !

Mera hasna use achha nahi lagta shayad,
Warna wo meri udasi ka sabab janta hai !~!